About Baba RamdevJi Ramsa Peer
Shri RamdevJi ko Baba Ramsa peer ke naam se bhi jana jata hain.
Baba ka Samasth Jeevan deen dukhiyo ki sewa , unch-neech,ammer gareeb ka bhed mitane
,kuritiyo ko door krne or bhakto ki rakhsa krne or unke dukh door krne k liye yaapan hua.
Baabaa ko peero ke peer,
raamasaa peer, ruṇaichaa raa dhaniyaa, krishṇa avataaree, viṣṇau avataaree, dwarkadheesh kaa avataar, kalayug ke avataaree, netalade ke bhartaar aise anant naamo se jana jata hain.
Hum bhi aap hi ki tarah param poojniya shree Baba RamdevJi ke bhakt hain . Hamara mukhya udeshya is app (Baba RamadevJi Ramasa peer Ramdevra) ke maadhyam shree RamadevJi Maharaaj ki jaankaari aam jan tak pahuchane kaa prayaas hain. Atah aapase anurodh hain ki is app ko download kare aur baba ke anya bhakto ko bhi is app ke baare me bataaye aur unhen baba kee jeevanee, beej kaa vrat, baba ke parche aadi kee jaankari pradaan karavaa kar labhanvit kare.
Is app me uplabdh jankariyaan :-
1. Baba ka jeevan (prayaas matra kiya gaya hain)
2. Baba ka janm avtaraṇ
3. Baba ki baal leela aur krida
4. Baba ke pramukh parche aur chamatkaar
5. Baba ki ruṇaichaa nagari
6. Baba ka vivaah aur parivaar
7. Baba ki samaadhi
8. Baba ke aarati
9. Baba ka beej vrat
10. Baba ka mela
11. Baba ke jamma jaagaraṇ, paidal yatra, baba ke bhanḍare
12. Ruṇaichaa ke pramukh darshaneeya sthal
App ki visheṣhtaaye :
1. Free download (nishulk uplabdhta)
2. Is app ko offline bhi chalaya jaa sakta hain.
3. Saral hindi bhasa
4. Graphical user inṭerface
5. Jaldi download ,chhoṭi size app
6. Is app ko baba RamdevJI Ramdevra, Ramsa peer, ruṇaichaa raa dhaniyaa, RamdevJi Maharaaj, lok dev baba Ramdev, RamdevJi Maharaaj aadi naamo se bhi search kiya ja sakta hain.
Humne shabdon ke maadhyam se baba ka thoda saa guṇgaan karne ki cheṣṭa maatra ki hain, kisi bhi prakaar ki truṭi ke liye hum baba shree RamdevJi Ramsa peer aur unke bhaktjano se ṣamaprapthi hain . Raṭing or review de kar apne bahumulya sujhav hume pradaan kare .
“ Ramsa Peer Maharaaj ki jay ho ”
by X####:
अच्छा ऐप है । आप बाबा का प्रचार कर रहे हो बहोत अच्छी बात है। भाई जी यह बताना की मक्का से आये पांच पिरो का नाम क्या था ।