About Eid Melad Un Nabi Rabi Ul Awal Islamic New
Eid Melad Un Nabi Rabi Ul Awal Islamic New is islamic application for all muslims.
Milad App is very useful for learning. Milad-Un-Nabi (Jashn e eid milad un nabi) is Very Important and precious Month for Muslims.
Eid Milad-Un-Nabi (Rabi ul Awal) ka month islami saal ka teesra mahina hai. Eid Milad-Un-Nabi (Rabi ul Awal) ka mahina khair o barkat or sa’adaton ka mahina hai kyun k Eid Milad-Un-Nabi (Rabi ul Awal) k mahine ki 12 tarikh ko Allah Ta’ala ne apne fazl o karam se Rehmat ul lilalamin Hazrat Muhammad Mustafa (SAW) ko paida farma kar apni naimaton ki barish farmayi.Ap(SAW) ka is dunia ma tasref lana hmare liye Allah Ta’ala ka bht bara ehsan hai. Irshad e bari Ta’ala hai k:
لقد من اللھ علی المو منین اذ بعث فیکم رسول۔
Allah ta’ala ne iman walon per ehsan kiya jb us ne apne mehbob ko rasool bna kar bheja.
Or Allah Ta’ala ne Ap (SAW) ko tmam jahanon k liye rehmat bna k bheja.
Baz ulma ka khyal hai k ramzan ka mahina bari fazilat or azmat ka maheena hai q k is mahine mai hmen rozay ata famaye gye laila tul qadar ata farmayi gayi etqaf ki barkaten ata farmayi gayi, quran e pak ata farmaya gya, naikiyon k ajr o sawab mai azafa ata farmaya gya is lehaz se amzan ka mahina bari azmat or fazilat ka mahina hai lekin ba’az ulma ikram ka khayal hai k rabi ul awal ka maheena zyada fazilat o azmat ka mahina hai kyun k rabi ul awal ka mahina ek aisi khasiyat se saal bhar k tamam mahinon se zyada afzal or qabil e ehtram hai k Allah ta’ala ne Eid Milad-Un-Nabi (Rabi ul Awal) k mahine mai apna mehboob ata farmaya. Ap (SAW) k ane se hmen ramzan ka mahina mila, ramzan ki barkaten mili, etiqaf mila,quran mila, iman mila, laila tul qadar mili, naikiyon k ajr o sawb mai izafa mila, rehnumai mili, goya k Khuda b mila to Ap (SAW) ki nisbat se mila. Ap (SAW) ki wiladat ek aisi naimat hai. Sari naimaten na milti agar hmen Ap (SAW) na milte. Allah Ta’ala ne jb quran ko nazil kiya to hmen ehsan nhi jatlaya, ramzan ka mahina ata farmaya to ehsan nhi jatlaya, laila tul qadr ka ehsan nhi jatlaya, suraj, chand, sitare, asman, zameen, hatta k insan hone ka ehsan b nhi jatlaya, sirf ye farmaya k aye logon agar tum meri naimaton ko gin’na chaho to gin nhi sako ge. Phir farmaya tum apne rab ki kon kon si naimaton ko jhutlao ge. kisi naimat pr ehsan nhi jatalaya balke Ap (SAW) ki amad per Ehsan jatlaya. Allah ta’ala ne irshad farmaya k jb Allah tumhe koi naimat de koi rehmat kare to khushi mnaya karo Ap(SAW) ki zaat hmre liye rehmat hi nhi balke rehmat ul lilalamin hai is lehaz se ye mahina munfarid ho jata hai. Jb Allah ki naimat mile Khush hona chaiye, Allah ka shukar ada karna chaiye nashukri nhi karni chaiye.
Eid Milad-Un-Nabi Rabi ul Awal (12 rabi ul awal) ko gharon ko sajana chahiye aur jash e amad rasool (SAW) ko celebrate krna chiye.
The key features:
- Attractive graphics
- Urdu Pages
- Clear Images
- Zoom for view clarity
- Pinch to zoom the pages
This is clone of physical book exist in market. if you found any error regarding this book as compared to physical book, please email us.